Sunday 8 October 2017

Elaichi Ke Fayde ~ Search How

Welcome To Search How


Hello Friends good afternoon all friends aaj ka humara topic hai elaichi (Cardamom) par. dosto jaisa ki hum sabhi jante hain is elaichi aajkal har kitchen main payi jane wali samaggari hai friends elaichi aajkal hum log kafi jaga use karte hain like apne khane main apne daily routine main or friends elaichi ko ek mouth freshner ki trah bhi use karte hain or bhi kayi kaamo main elaichi use kiya jata hai. friends aaj hum aapko batane wale hain elaichi ke fayde (Benefits) ke bare main.

To chaliye friends start karte hain (Benefits Of  Cardamom) elaichi ke fayde :-


  • Friends elaichi humare muh ke ulcer or infection se humari protection karta hai.
  • Paachantantra (Digestive System) ko strong banane karne ke liye hum elaichi ki chaaye (Tea) bhi pi sakte hain.
  • Friends agar humare muh (Mouth) se smell aati hai to hume har din khana khane ke baad ek elaichi jarur khani chahiye.
  • Friends agar aapka jee machale ya aapko chakkar aaye to ek elaichi muh main lekar chabana chahiye aisa karne se aapko bhot fayda hoga.
  • Yehe sheeghrapatan (Premature ejaculation) or napunsakata (impotent) rokne main help karta hai.
  • Friends agar aapko yaun (Sexual Problems) hain to aap 1-2 elaichi ke beejon ko doodh (Milk) main ubaal (Boil) lijiye, fir isme sahad (Honey) daal lijiye aisa karne se aapko kafi fayda pahunchega.
  • Friends elaichi pairon (Legs) ke soojan (Swelling) ko kam karne main bhi help karta hai.
  • Elaichi ki chaaye (Tea) pine se tanaav (Stress) bhi kam hota hai.
  • Friends agar aapko sardi (Cold) khaansee (cough) ya gale main kharaas (Sore Throat) ho to raat (Night) main elaichi chabaakar khane ke baad garm pani (Hot Water) pine se aapko kafi adhik fayeda milega.
  • Yehe Dil (Heart) ki dhamaniyon (Arteries) main jame huye vasa (Fat) ko bhi dur karne man help karta hai.
  • Elaichi humare body se vishaile padaarthon (Toxic Substances) ko nikaalne main help karta hai.
http://mkbloggers.blogspot.com/

  • Yehe humare face se free redicals kam karne main bhi humari help karta hai.
  • Yehe blood pressure normal rakhane main help karta hai.
  • Yehe jame huye cough ko nikalne main humari help karta hai.






  • Friends agar aap enemia naamak rog se peedit hain to aap ek gilash garm doodh (Hot Milk) main 1-2 chutki (Pinch) elaichi powder or haldee (Turmeric) mila lijiye, or agar aap chhahein to thodi cheeni (Sugar) bhi mila sakte hain yehe mishran (Mix) enemia rogi ko kafi fayeda pahunchayega, is mishran ko daily night main piyein.
  • Elaichi ka lep (balm) banakar sir (Head) par lagane se sir dard (Headache) main aaram milta hai.
  • Elaichi saansh (Breath) lene sambandhit (Related) samasyaon (Problems) main raahat deta hai.
  • Elaichi ka sevan heart ko healthy rakhane ke liye laabhkari hai.
  • Friends agar aapko ulti ho rahi hain to unko band karne ke liye 5 gram badi elaichi lekar 1/2 liter pani main ubaal lijiye jab pani 1/4 rehe jaye to usay utaar lain. is pani ko pine se ulti band ho jati hai.
  • 5 tola (Weighing) elaichi, baadam or pista ko ek saath bhiga lijiye fir ise maheen (Thin) pees lijiye fir ise doodh main pakaayiye jab ye gaada (Thick) ho jaaye to 3 paav mishri mailakar low gas main pakaayiye, fir yehe jab halva jaisa ho jaye to iska sevan kijiye, isse aankhon ki kamjori dur hoti hai or memory power badhati hai.
  • Elaichi kidney se related bimariyon se bhi hume bachata hai.
  • Agar aapke gale main soojan ho to moolee ke pani (Radish Water) main chhoti elaichi peeskar lene se bohot fayeda milta hai.
  • Agar aapke muh (Mouth) main chhaala (Blister) pad gya ho to badi elaichi or mishree lein fir in dono ko maheen (Thin) pees lein is mishran ko chhale wale jagah par lagaayein isse chhalo main kafi fayeda milega.
  • kaali elaichi (Black Cardamom) daant (Teeth) se related problems se mukti (Liberation) dilata hai.



Final Words


Friends ye thi Search How ki aaj ki Tips & Tricks is post main humne aapko Elaichi Ke Fayede ke bare main bataya hum ummid karte hain ki aapko humari ye post pasand aayi hogi to friends hum bas yehi chahte hain ki aap humesha fit or healthy rahein, friends koi is post se related koi jankari chahiye to aap bina kisi hesitation ke hume comment karke puch sakte hain or friends agar aap hume koi sujhav dena chahte hain to please comment main jarur batayein we will appreciate your comment's or dosto post share jarur karein. Thanks..



Please Share This Post


1 comment: