Sunday 3 June 2018

Computer Networking kya kyu kaise - Search How

Welcome To Team Tips Arena

Hey guys welcome again to our blog, today we are going to discuss about computer networking. dosto jaisa ki hum sabhi jante hain ki aajkal ki duniya main computer kitna jaruri hai kyunki aaj ke is daur main computer se hi sare work kiye jate hain.

Computer Networking kya kyu kaise


https://mkbloggers.blogspot.com
Computer Networking In Hindi



Friends if we have more then 1 computer gadgets to dosto kabhi kabhi ye problem ho jati hai ki hume ek se dusre pc main koi computer file ko transfer karna ho jabki thodi si information ke saath hum ise bahut easy bna sakte hain. dosto jarurt hai to bas tech ko thoda scretch karne ki aise main do ya do se jada device ke bich file ka aadan pradan behad easy ho jata hai.

Friends koi bhi do computer device ke bich hum do tarike se files transfer kar sakte hain, ek to agar hum internet ya broadband connection use karte hain to humare paas DSL modem jarur hota hai uske through hum file sharing ko easy kar sakte hain ya fir hum ek cross-over Ethernet cable bhi buy kar sakte hain.


https://mkbloggers.blogspot.com
Computer Networking By Team Tips Arena



Friends modem ke through kaise file share kare -  akshar DSL modem ke ander ek se jada computer ko jodne ke liye ek se jada parts hote hain isliye agar hum ek hi modem se do device connect karte hain to iska matlab hum ek hi network par hain kyunki is method main humare sare device ek hi network se connect hone chahiye fir chahe internet connectivity ho ya na ho is se koi farak nhi padta. friends hum windows operating system ka use karte hain to file sharing enable karne ke liye hume setting menu main jakar file or printing sharing enable karni hoti hai. dosto iske baad jo jo folder ya file hum network se jude computers par share karna chahte hain unki property open karke unhe sharing ke liye enable karna hoga.

Friends cross-over ethernet cable ke through file share kaise kare - ye cable samet prayukt hone wali ethernet cable se alag hai kyunki us cable ko hum ek pc ke saath direct unke LAN parts ko jod nhi sakte hain iske liye humare paas modem nhi hai to hum Amazon ya kisi bhi Ecommerce website se ise mangwa sakte hain.

Dosto iske alawa agar humara modem wifi se less hai to hum bina kisi problem ke apne phone main ES explorer ke through computer ko mobile se bhi access kar sakte hain.


Final Words

To friends ye thi humari aaj ki post hum ummid karte hain pichli post ki trah aapko ye post bhi kafi jada pasand aayegi dosto agar aapko humari ye post pasand aayi ho to hume comment box main comment karke jarur bataye or ya agar aap hume koi suggestions dena chahte hain to vo bhi aap hume comment karke de sakte hain iska hume intejaar rahega and dosto post ko share jarur kijiyega Thanks..



Please Share This Post

Team Tips Arena

9 comments: