Sunday, 3 June 2018

Apne phone main computer files ko access kaise kare - Search How

Welocme To Tips Arena

Hey friends welcome again aaj hum baat karenge computer data ko apne mobile main kaise access kare ke bare main. dosto iske bare main hum aapko step by step batayenge to chaliye chalte hain hum seedhe apne topic par..


Apne phone main computer files ko access kaise kare

Friends hum apne internet connection ko apne computer or mobile dono ke saath connect kar sakte hain to un dono device ke bich file transfer karna bahut hi easy hota hai hum bina kisi cable ke bhi ye sara work kar sakte hain vo bhi file transfer ki maximum speed ke saath. dosto ek chhoti se app hai jo humara work is kaam ko karne main easy kar deti hai or hum bahut hi kam time main computer or mobile ke beech files ko tranfer kar sakte hain, or dosto saath hi hum apne computer main store ho rakhe songs video's ko apne mobile main play kar sakte hain.

https://mkbloggers.blogspot.com
File Access Computer To Mobiles


Friends hume sabse pehle google playstore par jana hoga or waha jakar hume search box main ES Explorer name ki application ko apne mobile main install karna hoga or apni file sharing ke liye hume application ke network section main jana hoga jab hum waha jayenge to waha par humare network par present sari devices show hongi or kisi bhi device ko access karke mobile se computer ya laptop par files ko share kar sakte hain friends lekin humesha yaad rakhna ki apne computer files ko hum tabhi access kar payenge jab humne us folder jisme humari files hain use network par share enable kiya ho or humari sari devices ek hi internet connection ko use kar rahi ho.

Features of ES Explorer


https://mkbloggers.blogspot.com
Es File Explorer By Team Tips Arena



  • Friends mobiles ke liye ES Explorer bahut hi badiya file explorer hai kyunki android phone main default file browser nahi hota hai
  • Friends hum iske apne favorite songs ke collections ko bina phone main download kiye direct personal computer se play kar sakte hain.
  • Dosto isme hum network, cloud sharing, FTP jaise rich features ka use kar sakte hain.
  • Friends agar humare computer device main koi bade size ki movie hai to hum bina mobile main use download kiye direct play kar sakte hain.



Final Words

To dosto ye thi humari aaj ki post friends agar aapko humari ye post pasand aayi ho ya aap is post se related koi question karna chahte hain ya aap hume koi post se related suggestion dena chathe hai to aap comment box main comment karke hume jarur bataye or post share karna na bhoolen Thanks...



Please Share This Post

Team Tips Arena

No comments:

Post a Comment