Sunday, 3 June 2018

Domain name kya kyu kaise - Search How

Welcome To Tips Arena

Hello dosto swagat karte hain hum aapka humare blog team tips arena par dosto aaj hum ek khaas topic par baat karenge jisse sari duniya judi huyi hai par bahut se aise log hain jo isse judne ke bavajood bhi isko nhi jante hain. dosto aaj hum baat karenge domain name ke bare main.


Domain name kya kyu kaise

Friends jaise ki hum sabhi jante hain ki world main kisi bhi website ke liye ek address hota hai or dosto jisko nahi bhi pta ho to please thoda dhyan se pade, dosto ye kuch is trah hota hota hai ki jaise kisi bhi mobile phone ki identification uske number se hoti hai thik usi trah ek website ki bhi pehchan uske web address se hoti hai.

Dosto kya aapko pta hai internet starting main aisa nahi tha jesa ki ab hai starting ke time main isme bahut hi kam websites thi or unka pta ek ip address for example => 222.222.222.222 jesa kuch hota tha lekin dosto future dekhte huye domain name ko banaya gya kyunki dosto aaj ke time main present crores websites ko handle karna bahut hi mushkil hai, dosto agar website ko pehchanne ka rule na bana hota to internet ki koyi bhi importance na reh jati.

https://mkbloggers.blogspot.com
Domain Name Kya Kyu Kaise By Team Tips Arena


Dosto jab bhi koyi website internet par rakhi jati hai to use ek IP Address diya jata hai jo figures main hota hai for example => 222.000.222.000 dosto just think ki agar hume bahut sari websites ke is trah ke address yaad rakhne pade to ye kitna mushkil hoga. dosto isi wjah se websites ke liye domain name ka rule start ho gya hai. ye domain name us website ke IP Address ka alternative hai.

Dosto jab hum apne internet browser main kisi bhi website ka domain name daalte hain to domain name server par use IP Address main convert kar deta hai or hum us website par pahunch jate hain jisko hum open karna chahte hain. dosto IP Address ki jgah domain name ko yaad rakhne main jada aasani hoti hai.

Friends internet corporation for assigned names and numbers (ICANN) ek American agency hai jo duniya bhar kr domains ko manage karti hai. dosto agar hum apni website ke liye koyi custom domain lena chahte hain to hume ICANN se certified kisi bhi domain name registrar se apna domain register karna hota hai.
Friends india main agar dekha jaye to godaddy or ya fir bigrock domain names ke liye sabse popular do companies hain jo hume sabse easy or sabse best services deti hain.



Final Words

Friends ye thi humari aaj ki post jisme humne damain names ke bare main jana. friends hume ummid hai aapko humari ye post pasand aayi hogi. dosto agar aapki is post se related koi query hai to aap  hume comment box main comment karke jarur bataye or dosto post share jarur kare Thanks..



Please Share This Post

Team Tips Arena

7 comments:

  1. nice article see more information about domain name it will help youwhat is domain in hindi

    ReplyDelete
  2. kafi acche se likha hai nice

    ReplyDelete
  3. thank u for the information .. aapne bhut aachi tarike se samjh

    ReplyDelete
  4. Helpful suggestions thanks, I Guys just sharing, I've found this interesting! Sarkari results

    ReplyDelete
  5. Guys just sharing, I've found this interesting! pfms scholarship

    ReplyDelete
  6. Casino games online | JTGHub
    Try out all of our top-rated casino μ•ˆμ–‘ 좜μž₯λ§ˆμ‚¬μ§€ games for free. Enjoy online slots or roulette κΉ€μ œ 좜μž₯샡 tables for a 상주 좜μž₯μ•ˆλ§ˆ chance at a huge jackpot of μ²œμ•ˆ 좜μž₯샡 over $500. 원주 좜μž₯λ§ˆμ‚¬μ§€

    ReplyDelete