Thursday, 5 October 2017

Router or Modem Main Kya Difference Hai ~ Search How

Welcome To Search How


Hello dosto Good Afternoon, aaj hum baat karne wale hain router or modem ki kyunki dosto kafi sare aise log hote hain jisnko Router or Modem main anter nhi pta hota hai.

Dosto aaj ki humari is post ka main motive hai ki jin jin logo ko ( Difference between Router and Modem ) Router or Modem ke bich difference nhi pta unko iski jankari dena or sahi se samjhana jisse unko future main koi problelm na face karni pade..

Dosto Jab bhi log naya internet connection lete hain to jadatar log BSNL jesi company ko hi choose karte hain lekin dosto mostly log jo hote hain waha se modem lekar monthly kiraya dene ki jga apna modem kharidne main jada dilchaspi dikhate hain.

To dosto jab bhi vo log market main jate hain to router or modem ko leke un logo main kafi jada problem dekhne ko milti hai or information na hone ki wja se modem or router main se kis ko select karna hai usko lekar kafi uljhan main fas jate hain or fir jadatar log galat chij ko select krke kharid lete hain or fir baad main un logo ko usse kayi sari problems ka saamna karna padta hai..

Dosto jabki modem or router main basic farak karna bhot hi aasan hota hai dosto yaha Search How apko aasan bhasa main btayenge ki aakhir in dono ke bich kya farak hai.

https://mkbloggers.blogspot.com/



Modem :- Modem word do word se milkar bana hai jo iski karyapradali ko darshata hai modem ka kaam hai humari telephone line se aane wale analog signal ko module karna or is trah ke digital signal main badalna ki ise humari computer device samajh paye or computer se aane wale signal ko demodule karke analog signal main badalkar use wapas bhejna or isi module or demodule word ko milakar hi iska name modem bana hai or hume paramparik tarike se internet ki facility ko prapt karne ke liye modem ki aawasyakta hoti hai or iski karyapradali ko aap nimra chitra ke dwara bhi samajh sakte hain asal main modem ke bina internet ka paribhasit hona nhi banta kyunki yahi hai jo aapko phone line se jodta hai.


Router :- Router ka kaam hai modem main aane wale digital signal ko ek se adhik computer ya device ke liye uplabdh karwana kyunki router ko kewal modem se hi joda ja sakta hai or agar router wifi suvidha bhi uplabdh karwata hai.

Important Notes :

Aajkal kuch modem wifi or router ka kaam bhi karte hain jabki alag se router hona security ke kuch vishesh parameter uplabdh karwata hai jabki akele modem yehe nahi karwata or ek modem internet uplabdh hone ke liye aawasyak hai jabki router nhi lekin kuch internet companies badi badi cities main sidhe internet cable yani ki digital signal se uplabdh karwate hain or is trah ke cases main aapko cable router ki aawasyakta hoti hai or adhik informaition ke liye aap apne internet seva pradata se contact kare.


Final Words


To dosto ye thi Search How ki aaj Tips & Tricks jisme humne Difference between Router and Modem ke bare main sikha or dosto hum aasha karte hain ki apko humari post pasand aayi hogi dosto please is post ko apne friends and family circle main jarur share kare taki unko bhi Difference between Router and Modem ke bare main pta chale.
Dosto agar apke paas post se related koi sujhav ya samasya ho aap hume niche diye huye comment box main comment karke bta sakte hain hum apki comments ka aadar karte hain or apki comments se hi hume aage ki post karne ke liye prerna milti hai Thanks..


Please Share This Post

Search How

4 comments:

  1. PLEASE.. ENGLISH.. NO strangers words... Thanks!

    ReplyDelete
  2. How to configure your NETGEAR Router & Extender for cable internet connection with Smart Wizard mywifiext.net When you try to access the website www.mywifiext.net/ to set up your wireless extender, you might receive an error message or be unable to connect to the site. This can occur because http://www.mywifiext.net/ is not a regular Internet website. It is a local web address used to open the settings (genie or Smart Wizard). Login and create account at MYWIFIEXT.net setup website. Solution for connecting issue and reset username and password.

    ReplyDelete
  3. Good Post. I like your blog. Thanks for Sharing
    Upload Speed Test

    ReplyDelete