Welocome To Tips Arena
Hello dosto swagat hai aapka humare blog Tips Arena main dosto aaj hum aapko iphone par whatsapp payment feature kaise use karte hain iske bare main janenge.Friends jaisa ki hum sabhi jante hain ki India main social networking ko bahut sare log use karte hain, unhi social networking apps or sites main se ek kaam name hai Whatsapp dosto whatsapp ke india main hazaro crores users hain jinme maybe aapka name bhi aata hai. par dosto kya aapko pta hai whatsapp ne apna UPI (United payment interface) payment system launch kiya hai jisme hum apne friends ko money transfer kar sakte hain.
Friends aaj hum aapko jankari denge iphone or other IOS par kaise hum is feature ka use kar sakte hain.
Whatsapp Payment Feature |
Setup of whatsapp payment feature
- Friends sabse pehle apne phone main whatsapp application ko open kare or right side main diye gye setting ke option ko choose kare.
- Friends uske baad payment option par click kare.
- Dosto iske baad hume add new account par click karna hai.
- Dosto jab humara number verify hoga to humare phone ke screen par banks ki list show hogi.
- Friends ab hume apne bank ka name select karna hai or uske under apne bank account ki sari details daalni hai or baki vo sare option fill karne hain jo hume dikhayi de rahe honge.
- Itna karne ke baad humse UPI pin setup karne ke liye bola jayega.
- Friends iske baad apna UPI PIN number confirm karna hai or fir done option par click karna hai.
- Dosto itna karne ke baad humare phone main whatsapp payment feature start ho jayega.
Whatsapp Payment |
Whatsapp se money Transfer kaise kare
- Friends iske liye hume apne phone par whatsapp open karna hai or fir hume jis bhi person ko money transfer karni hai uska conversation open karna hai.
- Friends iske baad hume neeche ki or left side main diye huye + ke option par click karna hai.
- Dosto ab hume payment ke option ko select karna hai or dosto maan lijiye agar hum group main chat kar rahe ho to hum kya karenge ? don't worry friends uske liye hume sirf ek or step follow karna padega ! dosto iske liye hume us person ka name select karna hai jise hum money transfer karna chahte hain.
- Friends iske baad hume amount daalna hai or uske saath send karne ke liye ek note create karna hai. or fir hume send ke option par click karna hai.
- Dosto ab isme ek window popup hogi jisme aapko 4 anko wala UPI PIN pucha jayega, friends hume ab correct pin number enter karna hai or fir submit ke option par click karna hai.
No comments:
Post a Comment