Welcome To Tips Arena
Hello friends good afternoon i hope aap sabhi fit or healthy honge, friends aajkal paisa kitna important hai ye hum sabhi jante hain paise ke bina to koi kaam hota hi nahi hai yaha tak ki ek patta tak nahi hilta hai, friends jiske paas paisa hai vo to aaj ke daur main bahut hi khuskismat hai lekin jiske paas paisa nahi hai uske liye bahut sari problems hamesa ready rehti hain.
Friends paisa aaye kaha se ? ye question sabhi karte hain, koi paise kamane ke liye kuch business karta hai to koi kuch kaam karke apna gujara karta hai.
Friends aajkal paise kamane ka ek sabse tej or surakshit tarika hai Online ka. Online kaam karke aajkal bahut sare log accha paisa kama rahe hain or acchi luxury life bhi ji rahe hain, lekin dosto ye itna aasan bhi nahi hota hai iske liye bhi hume kafi mehnat karni padti hai or patience bhi rakhna padta hai.
friends wese to online paise kamane ke bahut sare tarike hain lekin aaj hum aapko youtube se kaise paise kamaye ke bare main batayenge, friends aaj ke time main paise kamane one of the best tarika kaha jaye to youtube hi hoga. friends hum sabhi jante hain ki youtube par hum kisi bhi trah ki video's dekh sakte hain, friends youtube par hum kisi bhi trah ki video daal bhi sakte hain or isi se youtube hume paise kamane ka mauka bhi deta hai.
NOTE :- Ye ekdum free hota hai
Aayiye jane youtube se paise kaise kamaye ke bare main :-
- Friends jesa ki humne pehle hi bataya hai ki ye ek aisa platform hai jaha hum kisi bhi trah ki video's upload karke paisa kama sakte hain, friends agar aap youtube se paise kamana chahte hain to sabse pehle aapko youtube par channel banana padta hai channel banane ke liye koi paisa nahi dena padta hai ye youtube ki setting main jake add channel par click karke free main create kiya ja sakta hai, youtube channel banane ke liye aapko sirf ek gmail account ki aavasyakta hoti hai iske alawa kuch bhi nahi chahiye hota.
READ ALSO :- Internet Se Ghar Bethe Paise Kamaye
- Friends youtube par channel create karne ke baad aapko usme apni banayi huyi video's upload karni hai, aap jis bhi chij main perfect ho usse related new banayi huyi video's hi youtube par upload kare
NOTE :- Content copy nahi hona chahiye
- Friends humesa ye dhayan rakhna ki aapke dwara banayi gayi video ki quality ek acchhi honi chahiye kyunki agar aisa karne aap nakam rehte hain to na to aapke channel par koi visiter attract hoga or na hi aapko page views milenge or agar aisa hota hai to aapki income par bhi iska kafi jada effect padega.
Ek acchhi video banane ke liye aapko video's banate time kuch steps lene honge jisse unki quality better ho sake. ye kuch steps hain jinhe aapko video banate time follow karna chahiye jisse aapki income acchi ho sake :-
- Jab bhi aap video bana rahe ho to humesa dhyan rakhe ki aapki video quality acchhi honi chahiye iske aap jitne acche mike use karenge video's utni hi acchi banengi.
- Visiter's jab bhi aapke channel par visit karte hain to vo sabse pehle video ki quality ko hi notice karte hain isliye aapko humesa ek acche camera se hi video's shoot karni chahiye taki video quality better ho sake or jada se jada visiter aapke video's ko dekhe.
- Friends aapki video content copy nahi hona chahiye aap jitna jada se jada ho sake new content hi use kare jo aapki income ko chaar chaand lag jayenge.
- Jab bhi aap video's create kare to unki edit karne ke liye humesa accha software hi use kare Adobe Captivate software aapki video edit karne ke liye ek accha vikalp ho sakta hai.
- Video's upload karne ke baad aapko uska link social media par jada se jada share karna chahiye taki aapki video ke views or subscribers increase ho sake.
- Aap apni video's ka promotion bhi kara sakte hain lekin ye paid hota hai.
READ ALSO :- Revenuehits Ads Network Se Paise Kamane Ka Tarika
Monetize karke income kare income
Friends jab aap video's upload karte hain to aapko ek bar video's ko monetze jarur kare iske liye aapko Channel-Monetization-Enable karna hai.
Friends jab aap video monetize option ko enable karte hain to aapke paas do option ho jate hain income karne ke ek to Adsense or dusra Affiliate Marketing
Youtube Par Google Adsense Se Paisa Kamaye
Friends ye ek sabse surakshit tej or aasan tarika hai youtube se paise kamane ka iske liye aapko kuch jada mehnat karni padti or na hi kisi ko paise dene padte hain ye free hota hai, google adsense ko sabse pehle youtube par approve karwana padta hai jab ye approve ho jata hai to adsense aapke channel ko ads provide karta hai or jab visiter's in ads par click karte hain to unke paisa adsense aapko deta hai.
Youtube Par Affiliate Marketing Se Paisa Kamaye
Friends agar hum aapko affiliate marketing ke bare main bataye to ye google adsense se bhi tej tarika hai paise kamane ka or isme aapko google adsense se jada income hone ke bhi chance 100% hote hain. isko karne ke liye aapko sirf aapke dwara banayi gayi video's main un company ke ads dikhane honge jis company ko aapne register kiya hai, jab aapke video's par ye ads show honge to visiter ke dwara click or buy karne par aapko iska commission diya jayega.
Final Words
To friends ye thi Team Tips Arena ki aaj ki Tips and Tricks jisme hume ummid hai ki ab aap youtube se kaise paise kamaye ke bare main acchhi trah se jaan gye honge, or friends agar aapko humari ye post pasand aayi ho to comment box main comment karke apni pratikriya jarur de or aapke suggestions ka to hum besabri se intezar karte hain hume post se related kuch bhi suggest karne ke liye aap comment kar sakte hain. Thanks...
No comments:
Post a Comment