Saturday, 21 October 2017

Internet Se Ghar Bethe Paise Kamaye ~ Search How

Welcome To Search How

Hello friends good morning and welcome to my blog once again. friends is post main hum baat karne wale hain ghar bethe paise kamane ke tariko ke bare main, friends ye post un mother's, sister's and brother's ke liye hai jo house wife, students or etc hain kyunki is world main bahut se aise log hote hain jo income to karna chahte hain par uske paas time nahi hota hai.
Friends aaj hum aapko ghar bethe paise ki puri jaankari denge or jitna jada ho sake utna aapko fayeda dilane ki koshish karenge, friends internet ghar bethe paise kamane ka bahut hi aasan or kaargar tarika hai, internet ko keval kisi cheej ko search karne ka maadhyam na maane kyunki ye hume bahut sare features provide karta hai, internet se hum agar ye maan le ki ye sirf kisi bhi cheej ko search karne ka hi jariya hai to yehe galat hoga, friends internet ko hum keval facebook, twitter, whatsapp etc.. ke liye sirf time paas ke liye hi use nahi kar sakte ye humare online paise kamane ka bhi jariya banta ja raha hai. or aaj ke time main to ye kafi jada hi active hai worldwide iska bhot use ho raha hai. or log paise bhi kama rahe hain.

Friends aayiye jane kaise internet se paise kamaye

Let's Start


Friends internet se paise kamane ke liye wese to bahut sare tarike hain lekin hum aapko simple or easy tarika hi batayenge jisse aap paise kama sakte hain.
Friends kya aapne kabhi blogger ke bare main suna hai ?
Agar aapne blogger ke bare main suna hai to aap sab kuch jante hi honge agar nahi jante hain to koi baat nahi aaj hum aapko blogger ke bare main puri jaankari denge.

Friends blogger.com google ke dwara di jane wali free services main se ek hai, dosto blogger.com se hum apna manchaha blog create kar sakte hain or apne bare main ya aap aapko jis cheej ke bare main jada jaankari ho uske bare main aap pure world ko bata sakte hain. friends jab hum blog create karenge to uske kayi sare fayede hain ek to ye ki aap apne bare main ya apne passion ke bare main duniya ko bata sakte hain, or dusa ye hai ki usi ke saath saath aap ghar apne blog se ghar bethe paise bhi kama sakte hain. Blog se paise kamane ke bhi kayi sare tarike hain.
aayiye blog se paise kamane ke kuch tariko ke bare main jane.


Google Adsense Se Paise Kamaye

Friends google adsense google ke dwara provide kiya jane wala ads network hai isko aap free main signup kar sakte hain iski koi registration fee nahi hai or na hi ye koi bhi other type ka charge leta hai. friends google adsense is world ka sabse bada ads network mana jata hai or ye baki ads network ki tulna main safe and secure bhi hai.

https://mkbloggers.blogspot.com


Friends google adsense paise kaise deta hai
dosto google adsense se paise kamane ke liye hume sabse pehle apne blog ko adsense main signup karna padega,  friends jab humara blog 5-6 months purana hoga or usme kam se kam 30-40 posts hongi tabhi ye approve hoga otherwise google adsense aapke blog ko approve nahi karega or aapki income nahi ho payegi, friends ek bar adsense approve hone ke baad adsense apke blog par google ads dalega or vo ads aapke blog par show honge, jab bhi koi visiter aapki website par visit karega or google ke dwara show ho rahe ads par click karega un clicks ke paise aapko diye jayenge.

Friends google adsense ka minimum payout 100$ hai jab bhi aapke google adsense account main 100$ ho jayenge aap payout kar sakte hain, Adsense aapko aapki payment month ki har 21 tarikh ko karta hai adsense ye payment sidhe aapke bank account main ya home address pe cheque bhejne jesi important suvidha deta hai.




READ ALSO :- Revenuehits Ads Network Se Paise Kamane Ka Tarika



Affiliate Marketing Se Paise Kamaye

Friends uper to humne seekha ki google adsense se paise kaise kamaye ab hum aapko batayenge ki Affiliate Marketing se paise kaise kamaye,
Friends wese to Affiliate Marketing google adsense ki trah hi hota hai isse bhi hum ghar bethe income kar sakte hain lekin dosto isme google adsense ke rules or affiliate marketin ke rules main kuch difference hota hai, affiliate marketing ek bahut hi bada platform hota hai or new blogger ko ye itni jaldi samajh main bhi nahi aata hai lekin dosto agar baat ki jaye kamayi ki to humara maanna hai ki ye google adsense se bhi better hai aap use karenge to aap khud hi samajh jayenge.

https://mkbloggers.blogspot.com


Friends aayiye jante hain ki aakhir Affiliate marketing hoti kya hai ?
Affiliate Marketing ko aajkal lagbhag sari badi companies hi use kar rahi hain ye companies ke liye kafi bada platform banta ja rha hai, friends jab aapke pass koi company hai or aap us company ka ad karwana chahte hain uske liye sabse pehle aapko apni company ki affiliate services start karni padengi aap ye decide karoge ki aapko kis product ya samman ko kitne price main bechna hai ya kisi se us samaan ka kitna price lena hai or ad karne wale ko kitna commission dena hai, jab aap puri tarah se ye sab cheeje decide kar loge to aapko inko online karna hai, fir jab aapke affiliate programme ko bhi person join karega to aapko us person ko aapke affiliate programme ke banner ads, text ads, offers or links ka advertise dena hoga fir vo user un banner ads, text ads, ya link ko apne site or blog par lagayega or other person ko aapke website or blog par visit karne ke liye bolega ya koi bhi uski website ke through koi samaan buy karta hai to user ko uska commission milta hai.

Friends aisi hi kafi sari website's hain jo hume affiliate marketing offer karti hain (Eg. Flipkart, Ebay, Amazon)



Final Words

Friends ghar bethe incoome karne ke bahut sare tarike hain aaj humne aapko sirf do tariko ke bare main bataya hai, friends aaj ki post se hume ummid hai ki aapko ghar bethe paise kamane ki jankari mil gayi hogi to der kis baat ki hai friends apne thoughts views or information ko world ke saath saajha kijiye or paise bhi kamayiye, friends aapko sirf itna hi kehna chahte hain ki agar aapko humari ye post pasand aayi ho please comment kijiye or aap comment karke hume post se related suggestion bhi de sakte hain, friends post ko share karna na bhoole Thanks...




Please Share This Post

Search How

No comments:

Post a Comment