Dosto is bhaag daud bhari jindagi main wese to hum kafi jada daudte hain but humari body ko fit karne ke liye running kafi jada jaruri hai jisse humari jindagi fit or healthy rehti hai.
Running karne ke fayde
Friends iske liye hume jada kuch karne ki jarurat nhi hai, Hum morning main jaldi uthke kisi park main daud laga sakte hain, isse humare legs strong hote hain, sath hi jab hum running karte hain to hum lambi lambi saans lete hain jisse humare chest ke ander jada hawa jati hai.
Iska ek fayeda ye bhi hai ki saans lene ki wajah se humare body main jada oxygen jati hain jisse humare body main kabhi bhi oxygen ki kami nahi hoti hai or humai body healthy rehti hai.
Daily hume kam se kam 15 se 20 minute tak running jarur karni chahiye or dheere dheere apne time ko badhana chahiye.
Hi there 👋
ReplyDelete