Saturday, 11 August 2018

Janiye MPIN kya hota hai ? - Search How

Hello friends kya aap jante hain ki MPIN kya hota hai ? nhi ? to aayiye jante hain.
Dosto aajkal aapne mobile banking ke bare main jo suna hi hoga, or dosto mobile banking main aapne aksar MPIN ka bhi name suna hoga, jadatar logo ki trah aapke bhi mann main MPIN ke bare main kayi questions uthte honge. MPIN kya hai ? MPIN kyu jaruri hai ? isko kaise generate kiya jata hai athwa ye kaha se milta hai ? aise hi sawalo ke bare main hum aapko aaj is post main btayenge jisse aap MPIN ke bare main puri trah se jaan jayenge.

Search How


MPIN kya hai ?

Dosto MPIN ek code hai. ye ATM pin ki trah hota hai. jaise hum ATM ka use karte samay ATM ka pin number use karte hain thik usi trah mobile banking USSD banking or UPI apps se lenden karte time hume MPIN daalna padta hai. dosto hum ise sirf apne mobile se lenden karte time hi use kar sakte hain.

MPIN kyu jaruri hai ?

Dosto bank se hone wale lenden ke liye 2 step ki security honi jaruri hoti hai. dosto jis trah hume ATM se lenden karte time first step ki security humara ATM or fir second step ki security humara ATM pin hota hai. jab tak kisi ke paas ye dono chij nhi hongi tab tak koi bhi humare account se paiso ka lenden nhi kar sakta.

search how


Dosto thik isi trah mobile ke through lenden karte time first step ki security humara mobile number or second step ki security humara MPIN hota hai. iske bina hum ya koi bhi humare account se lenden nhi kar sakta hai.

MPIN ka use

Dosto jesa ki hum pehle hi bta chuke hain ki MPIN humare mobile se hone wale lenden main use kiya jata hai. ye ek bahut hi important code hai. ab hum aapko esi banking suvidhaon ke bare main btayenge jinme inka use kiya jata hai :-


  • Mobile Banking App
  • SMS Banking
  • USSD Banking
  • UPI Apps
  • IMPS
  • IVR

MPIN kaise paye ya MPIN kaise change kare

Dosto MPIN pane ke liye hume mobile banking ke liye register karna hai. jab hum mobile banking ke liye registration karwate hain to bank hume user id ke sath humara MPIN bhi deta hai
Dosto hum apna MPIN USSD or UPI ke through ke bna sakte hain. ise USSD banking or UPI apps ke through create karna bahut hi easy hai.

USSD se MPIN generate kare

  • Dosto iske liye hume apne registered mobile number se *99# dial karna hai.
  • Next screen par apne bank ka 3 letters wala name ya IFSC ke starting 4 letters ya bank ke sankhya code ke starting 2 letter dale or send kar de.
  • Next menu main 7 likhe or fir send kar de.
  • MPIN generate karne ke liye 1 likhe or send kare.

USSD se MPIN kaise badle

  • Dosto iske liye hume apne registered mobile number se *99# dial kare.
  • Next screen par apne bank ka 3 letter wala name ya IFSC ke starting 4 letters ya bank ke sankhya code ke starting ke 2 letters dale or send kare.
  • Next menu main 7 likhe or fir send kar de.
  • MPIN badalne ke liye 2 likhe or send kar de.
  • Next screen par old MPIN, New MPIN dale or confirm kare or submit kar de.


SBI UPI app ka use karke MPIN generate kare


  • SBI UPI app main login kare
  • Fir account management main jaye
  • Fir hume jis account ka MPIN generate karna hai usko choose kare
  • Fir set MPIN option par click kare
  • Fir jese waha par instructions di huyi hain unko follow karke MPIN generate kare



UPI apps ka use karke change kare


  • SBI UPI app main login kare
  • Account management main jaye
  • Fir hume jis account ka MPIN change karna hai usko choose kare
  • Fir change MPIN option par click kare
  • Fir apna old MPIN, New MPIN dale confirm kare or submit button par click kare


Dosto yaha par humne apne viewers yani ki aapko guide karne ke liye SBI UPI app ka use kiya hai, dosto aap aise hi kisi bhi UPI app ke through MPIN change or generate kar sakte hain.

MPIN bhool jane par kare ye kaam


Dosto apna MPIN bhool jane par hume koi bhi chinta karne ki jarurat nahi hai, friends hum kisi bhi time new MPIN generate kar sakte hain. Hum net banking USSD banking ya UPI apps ka use karke easily new MPIN create kar sakte hain, Net banking se new MPIN generate karne ka process sab banks main different ho sakta hai but USSD or UPI apps ka process lagbhag same hi hota hai.

Friends mobile banking main MPIN ki hi trah MMID ka name bhi humare samne aaya hoga, dosto ye bhi bina accont number ke money transfer ke kaam main aata hai.


To friends ye thi humari aaj ki post hum ummid karte hain aapko humari ye post pasand aayi hogi dosto post par comment karke suggestions jarur de or post ko share karna na bhoole Thank You.

3 comments:

  1. Mencari buku aplikasi Windows NIIT untuk diunduh bisa sangat membantu dalam pembelajaran teknologi. Pastikan untuk mengakses sumber yang sah dan aman untuk menghindari masalah keamanan.
    Data Science Courses in Pune

    ReplyDelete