Friday, 24 November 2017

Java Objects Full Guide In Hindi ~ Search How

Welcome To Tips Arena

Hello friends welcome to the blog Tips Arena once again, friends humne apni peechli post main seekha tha Java Classes ke bare main or ab hum seekhenge Java Objects ke bare main. to chaliye friends hum seedhe topic par chalte hain.



Java Objects Introduction In Hindi

Dosto hum sabse pehle aapko batana chahte hain ki class ko bhi integer ki trah hi type mana jata hai, dosto jab hume class type create karna hota hai to hume sabse pehle object create karna hota hai, friends class ke ander humare jitne bhi variables or methods hote hain agar hum unko class ke bahar access karna chahte hain to hume pehle us class ka object create karna hota hai, or jab humara object create ho jata hai to hum us class ke variables ko access kar lete hain or methods ko fir methods ko call bhi kar sakte hain.

viralmeindia.blogspot.in


Dosto hum aapko batana chahte hain ki jab bhi hum object create karte hain to hume uske liye new keyword ka use karna chahiye, friends ab hum aapko kuch objects create kese karte hain uske bare main batayenge รจ



  • Friends sabse pehle hume us class ka name likhna hai jis class ka object hume create karna ho.
  • Friends fir hume class ke name ke baad object ka name likhna hai, friends hum aapko bta de ki hume object ka name hamesha unique hi rakhna chahiye.
  • Friends fir iske baad hume equals (=) operator ka use karna hai.
  • Friends fir iske baad hume new operator ka use karna hai.
  • Friends fir iske baad hume dobara apne class ka name likhna hai or fir uske aage brackets lga kar semicolon use karna hai.





Java Objects Example In Hindi


class People
{       
    String Name="Vipin";
    int age=24;

    public void display()
    {
     System.out.println("Name is "+Name+ "Age is"+age);
    }
                                 
}

class PeopleObj
{
   public static void main(String args[])
   {
     People p1 = new People();
     p1.display();
   }
}




Friends hum aapko bta de ki jis example ka use humne uper kiya hai uske ander 2 classes hain, friends humare class ka execution PeopleObj class se start hoga, dosto hum aapko bta de ki ye jo humari class hai usme hum People class ka object create kar rahe hain.
friends isme humne Person class ka object create karke class ke object ke aage (.) dot operator lagakar display method ko call kiya hai. friends is object se hum us class ka koi bhi member (variable or method) agar vo public hai to access kar sakte hain.

Friends humesha dhyan rakhna ki jab bhi hum koi bhi object create karte hain to hume sabse pehle us class ka constructor call karna hota hai. aapko bta de ki class ke name ke baad jo brackets lage huye hote hain vo hi class ke constructor ko call karte hain.

Friends agar hum chahe to objects ko bhi variables ki trah 2 parts main create kar sakte hain, hume sabse part main object ko declare karna hota hai or dusre part main initialize karna hota hai.



Example

Person p;
p1 = new Person();


Friends vo objects jinhe hum bas create karte hain but initialize nahi karte hain unko hum reference variables kehte hain.


Example

Person p1;




This Keyword In Hindi

Friends ab hum baat karte hain this keyword ki dosto ye keyword humare current object ko represent karta hai, dosto khule sabdo main kahe to current object ka matlab hum currently main jis class main kaam kar rahe hain usi class main us class ke object ki hume jarurt hai to hum This keyword ka use karte hain.
Friends hum aapko bta de ki This keyword ka use usi situation main kiya jata hai jab hum current object ke kisi member ko point karna chahte hain, friends This keyword ko mainly constructors main use kiya jata hai.

class PeopleName
{
   string name;
   public PeopleName(string name)
   {
      this.name = name;
   }


  public void show()
  {
      System.out.println("Name is : "+name);
  }
}

class TipsArana
{
    PeopleName pn = new PeopleName("Manoj");
    pn.show();
}




Friends humne jo example aapko bataya hai usme This keyword PeopleName class ke name variable ko or constructor main diye huye parameter ko distinguish karne ke liye use kiya gya hai.
friends agar hum yaha par this keyword use na kare to compiler ko pta hi nahi chalta ki hum kis name ko konsa name assign kar rahe hain.

Friends hum aapko bta de ki esi koi si bhi situation jaha par hume current object ke member ko point karna ho to hum uske liye this keyword ka use kar sakte hain, Friends This keyword ko hum ek argument ki trah bhi pass karwa sakte hain.




Final Words

To dosto ye thi humari aaj ki post jisme humne Java Objects ke bare main seekha dosto hume ummid hai ki aapko humari ye post pasand aayi hogi or hum aasha karte hain ki aap humari is post ko share jarur kare or comment box main comment karna bilkul na bhoole Thanks..



Please Share This Post

Team Tips Arena

No comments:

Post a Comment