Welcome To Tips Arena
Hey guys, humne apni peechli post main Java Objects ke bare main study kiya tha or ab hum aaj ki post main seekhenge Java Constructor ke bare main aayiye seedhe chalte hain apne topic par.Java Constructor Introduction In Hindi
Friends hum sabse pehle aapko bta de ki java constructor ka use kaha kiya jata hai ? dosto java constructor ko waha use kiya jata hai jaha par agar hum object ko use karne se pehle koi bhi tasks ko perform karna chahte hain for example agar hume variable ko initialize karna ho.
Friends hum aapko bta de ki object ke use karne se pehle agr hume koi jaruri kaam karna hai to vo kaam hum constructor main hi kar sakte hain.
For example hum jis class ka object create kar rahe hain uske variable main koi bhi values nahi hai, friends ye values hum user se objects create karte time input karwa sakte hain.
Dosto object create karte time user values ya arguments pass karta hai. dosto fir jab hume apni class ke variable ko assign karna hota hai to hum ye constructor ke through karte hain.
Friends agar hum constructor main us values ko assign nahi karte hain to java ke through default constructor call kiya jata hai or sabhi class member variables ko initial values assign ho jati hai, friends constructor java ke memory allocation ka part hota hai.
Friends hume ye pta honi chahiye ki constructor ki kuch characteristics hoti hain, dosto inko hum constructors create karne ke rules ke name se bhi jante hain.
Friends hum aapko bta de ki constructor ka name class ke name jesa hi hota hai, constructor ek method ki trah hi hota hai, constructor ka koi return type nahi hota hai.
Java Constructors Types In Hindi
Friends hum aapko bta de ki java main constructor 4 trah ke hote hain.
- Parameterized Constructor
- Default Constructor
- Copy Constructor
- Normal Constructor
Parameterized Constructor In Hindi
Friends ab hum aapko parameterized constructor ke bare main btayenge dosto isme hum agar koi object create kar rahe hain to hum same time me variable ki value arguments ki trah bhi pass kar sakte hain, dosto in values se hum constructor me variables ko bhi assign kar sakte hain, dosto hum constructor me parameters bhi pass karwa sakte hain. For example รจ
class Person
{
String Name; int age;
Person(String n , int a )
{
Name = n ;
age = a ;
}
public void display()
{
System.out.println("Name is : "+Name+" Age is : "+age);
}
}
class ParaCon
{
public static void main (String args[])
{
Person p1 = new Person("Vipin",24 );
p1.display(); }
}
Default Constructor In Hindi
Friends ab hum baat karte hain default constructor ki dosto ye baat pta honi chahiye ki agar hum koi bhi constructor create nahi karte hain to bhi java default constructor call kar leta hai, dosto ye constructor sare variables ko unke data type ke according initial value ke saath memory allocate kar deta hai.
Copy Constructor In Hindi
Friends ab hum baat karte hain copy constructor ki dosto agar hume kisi bhi object ki copy karni ho to hum copy constructor ka use karte hain, friends hume pta hona chahiye ki jab bhi hum kisi object ki value ko dusre object kisi object me copy karte hain to dono objects same values ko hi point karte hain.
dosto jab hum copy constructor me kisi class ka object create kar rahe hote hain to usi time dusra object argument ki trah pass karte hain.
Normal Constructor In Hindi
Friends ab hum baat karte hain normal constructor ki dosto normal constructor khud hi create kar sakte hain or dosto iski body me hum khud hi compile time par initialize karte hain, for example รจ
class Person
{
String Name; int age;
Person() //Constructor
{
Name = "Vipin"
age = 24;
}
public void display()
{
System.out.println("Name is : "+Name+" Age is : "+age);
}
}
class NorCon
{
public static void main (String args[])
{
Person p1 = new Person();
p1.display();
}
}
No comments:
Post a Comment