Tuesday 21 November 2017

Java Control Statements Full Guide In Hindi ~ Search How

Welcome To Search How

Hey people how are you all hope aap sabhi acche honge dosto humne apni peechli post main seekha tha Java Operators ke bare main or ab hum seekhenge Java Control Statements ke bare main to aayiye dosto ab hum seekhte hain.


Control Statements Introduction In Hindi

Friends hum jab koi program banate hain uske statements ke execution ko kisi condition ke through control kar sakte hain, or dosto jab vo condition aaye to aap jo hum jo statements execute karwana chahte hain unhe hum execute karwa sakte hain.

For example dosto jab hum gmail website ko open karte hain to hume email id or password fill karna hota hai jab hum in conditions ko fill karte hain to server ke through check kiya jata hai ki humara emaild id or password thik hai ya nahi or dosto fir agar humara email id or password sahi hai to hum apne gmail account login ho jate hain or agar humara login id ya password wrong hai to humari computer ya phone screen par ek error message show hone lagta hai. dosto is work control statements ki help se kiya jata hai.

https://mkbloggers.blogspot.com/


Friends agar hum baat kare control statements ki to dosto control statements vo statements hote hain jisse hum program ka execution control karte hain, friends kis statements ko kab execute karna hai ye work control statements ke through hi kiya jata hai. friends java me 3 type ke control statements hote hain jinme selection statements ek statement ko condition ke according select karke execute karte hain.

Friends Iteration statements ke through kuch statements ko bar bar execute kiya ja sakta hai or jump statements program main ek jagah se dusri jagah jane ke kaam aate hain.


Selection Statements In Hindi

Friends ab hum sabse pehle baat karte hain selection statements ke bare main dosto isme kisi statement ki condition check karne ke baad select karke execute karte hain agar condition true hoti hai to kuch statements ko execute kiya jata hai or agar condition false hoti hai to dusre kisi statements ko execute kiya jata hai, friends selection statements 3 type ke hote hain รจ

  • If Statements
  • If Else Statements
  • Swith Statements


If Statements In Hindi
Dosto hum aapko ab if statement ke bare main batayenge dosto jab bhi hum if statement ka use karte hain to hume if keyword ka use karna hota hai dosto is keyword ke baad brackets main condition di jati hai, dosto ye jo conditions hoti hain vo conditions variables se bhi related ho sakti hain or koi  normal condition bhi ho sakti hain. dosto is condition ke baad statements ka block diya jata hai agar humari conditions true hain to humari sari statements execute ho jayengi or agar conditions true nahi hoti hain to pura if block skip kiya jata hai.

int a =5, b = 3;
if(a>b)
{
    System.out.println("A is bigger than B");
}




If Else Statements In Hindi
Friends ab hum baar karenge if else statements ki dosto ye statement bhi if statement ki trah hi hoti hai farak sirf itna hai ki hum if statement main condition false hone pe bhi kuch statements ko execute karwa sakte hain.

int a = 5, b = 3;
if(a>b)
{
    System.out.println("A is bigger than B");
}
else
{
    System.out.println("B is bigger than A");
}




Switch Statements In Hindi
Friends ab hum baat karte hain switch statements ki dosto switch statement main switch keyword use karte huye ek condition pass ki jati hai dosto isme jab hum cases ka use karte hain to jis case se condition match kar jati hai wahi case execute ho jata hai, jese ki humare variable ki value 5 hai to 5th case ke statements execute honge. friends hum aapko bata de ki kabhi kabhi humara koi bhi case condition se match nahi karta hai to is situation main default case execute hota hai.




Iteration Statements In Hindi

Friends ab hum baat karte hain iteration statement ki dosto is statement main kuch statements tab tak bar bar execute karte hain jab tak condition true hoti hai dosto condition false hone pe ye execution band ho jayega, for example hume kisi variable ko value ko bar bar print karna hai to dosto aisa karne ke liye hume bar bar print statements likhne ki jarurt nahi hai. dosto hum bas ek bar hi iteration statement ko likhte hain or fir hume batana hota hai ki hum is statement ko kitni bar execute karwana chahte hain. dosto iteration statements ek statement ko bar bar execute karwane ke kam main aati hai, dosto hum aapko bata de inko looping statement ke name se bhi jana jata hai รจ


  • For Loop
  • While Loop
  • Do-While Loop



For Loop In Hindi
Dosto sabse pehle hum baat karte hain for loop ki dosto ye loop jitni bhi loops hoti hain unme sabse easy or sabse jada use hone wali loop hoti hai, dosto aayiye hum for loop ke structure ke bare main jane รจ

for(initialization;condition;increment)
{
     //statements
}

Friends for loop ke initialization part main hum ek variable ko initialize karte hain, dosto iski value integer hoti hai, dosto ye humare loop ka starting point hota hai, dosto hum is variable ki jo value dete hain loop wahi se start hota hai dosto humesa is baat ka dhyan rakhna ki is variable ko condition main jarur include kiya jata hai or dosto agar aisa nahi kiya jata hai to loop execute nahi ho sakta hai.


Friends for loop condition part main hum ek loop ki condition dete hain dosto ye vo condition hoti hai jisse loop terminate hota hai agar humne sahi condition nahi di hai to loop infinite tak chalta hai rehta hai. dosto jab tak ye condition true hoti rehti hai tab tak loop chalta rehta hai condition false hote hi loop terminate ho jata hai.


Friends for loop ke increment part main initialized variable ko increment kiya jata hai taki loop ka execution aage badh sake or agar jitni condition di hai unti execute ho kar terminate ho jaye dosto agar hum variable ko increment nahi karenge humara loop aage nahi badhega.

class ItelPam
{
   public static void main(String args[])
  {
       for(int=1; i< = 10; i++)
       {
            System.out.println("Numbers form 1 to 10");
            System.out.println(i);
        }
}




While Loop In Hindi
Friends ab hum baat karte hain while loop ki dosto while loop main hum initialization statement loop ke bahar dete hain, brackets main kewal condition hoti hai or increment part block ke ander hota hai. dosto aayiye jane Increment part ke bare main.

class whileStat
{
   public static void main(String args[])
  {
     int i = 1;
     while(i<=10)
     {
          System.out.pritln(i);
          i++;
      }
}


Dosto while loop ka ek feature hai jisko sabse bada feature bhi mana jata hai isme variable initialize karne ki jarurt nahi hoti hai agar hum chahe to loop ko terminate karne ke liye koi dusri condition bhi use kar sakte hain dosto yaha par humare program ke variables se related koi bhi condition aa sakti hai. dosto hum aapko ek baat or batana chahte hain ki is loop yani ki while loop ka use hum bina statements ko initialize karke bhi kar sakte hain.




Do-While Loop In Hindi
Friends ab hum baat karte hain do-while loop ki dosto is loop main sabse pehle ek bar statements execute hote hain uske baad condition check ki jati hai ki condition true hai ya nahi, dosto aisa sirf ek bar hota hai, condition chahe true ho ya false ek bar humare loop statements jarur execute honge or iske baad check karne pe agar condition true hoti hai to loop continue karta hai nahi to ye terminate ho jayega.

class DoWhileSam
{
    public static void main(String args[])
   {
       int i = 0;

       do
       {
            System.out.println(i);
            i++;
        }while(i<=10)
   }
}




Jump Statement In Hindi

Friends ab hum baat karte hain jump statement ki dosto jump statements program main ek jagah se dusri jagah jane ke kam aate hain.

Break Statements In Hindi
Friends break statement ka use hum statement ki sequence ko break karne ke liye karte hain jesa ki humne pehle dekha ki break statements ko switch statements se exit hone ke liye use kiya gya tha agar switch cases main break statement use nahi kiye jaye to sare cases ke statements execute honge aise hi hum loop se bhi exit kar sakte hain bina loop ke pura huye. dosto hum sirf ek break statement lagate hain or loop wahi par exit ho jata hai.

break;


Continue Statement In Hindi
Friends bahut bar humare liye ye important hota hai ki hum humare loop ki kisi iteration ko execute nahi karwana chahte hain aisi condition main hum us iteration ko skip karne ke liye continue statement use karte hain for example hum chahte hain ki 1 se 100 tak ke number print ho lekin ye vo hi number hone chahiye jo 2 se divide ho, dosto aisa karne ke liye hum 1 se 100 tak loop chalayenge or loop ke ander check karenge ki number 2 se divide ho raha hai ya nahi agar number 2 se divide nahi ho raha hai to continue statement execute hoga or vo iteration skip ho jayegi. or next iteration automatically start ho jayegi.

continue;


Return Statement In Hindi
Friends Return statement ka use hum mostly method ko return karne ke liye karte hain, for example hum koi value return kar rahe ho ye statement method definition main last main hota hai is method ke use se program us method se bahar aa jata hai, dosto har method main kewal ek hi return statement hota hai or vo ek hi value return kar sakta hai.

return;




Final Words

To dosto aaj ki post main humne seekha Java Control Statement ke bare main, friends agar aapko humari aaj ki post pasand aayi ho to please share jarur kijiyega or aap post par comment bhi jarur kijiyega Thanks...



Please Share This Post

Search How

No comments:

Post a Comment